Monday, March 16, 2009

America (USA) Main Hijrat Kay Tareqay

America main hijrat kernay kay bohat say tareqay hain leaqin behtareen tareqa yahi hai kay aap worker kay toor per waha sponosorship pay jaey aur phir waha ka Green Card haasil ker lain aur phir us kay baad apni family ko bula lain.
Aap America main nokri kay liyay apply kerain aur aap ko company sponsor keray ge aur baahir bula lay ge. Us kay baad aap makhsoos waqt kay liyay waha kaam kerain aur phir aap ko paka visa mil jaey ga. America main makhsoos waqt taak rehnay kay baad Green Card mil jata hai. Jis ensaan kay paas Green Card hu woh America kay kissi be shehar main ja sakta hai.
Aap batoray business man be America ja saktay hain. Business visa haasil kernay kay liyay zaroori hai kay aap American hakomat ko yeh baat saabit kerain kay aap kay paas itnay passay hain kay aap apna karobaar America main raeh ker ker saktay hain.
Agher aap family kay saath hijrat kerna chaahtay hain tu zaroori hai kay aap ko koe aesa banda sponosor keray ju America main jaez tareqay say rehta hu aur us kay paas Green Card hu. Agher aap apni biwi ko bolaana chaahay tu es kay liyay zaroori hai kay aap dono kuch arsa akathay rehay hu. Jub aap apni biwi ko sponosor keray tu aap ko American hakomat ko es baat ke guarantee dene hu ge kay aap apni biwi ko rehnay kay liyay khud jaga day saktay hain. Aap hakomat ya kissi falaahi adaray say raqam nahi maangay gay apni biwi kay kharchay kay liyay. Sponosor kernay walay kay liyay zaroori hai kay us ke umer kum uz kum 21 saal hu.
Agher aap apnay bacho, brhan aur bhaeyo, batejo ya batejyo, banjo ya baanjeyo ko America sponosor kerna chaahtay hain tu us kay liyay zaroori hai kay aap jisay bula rehay hu us ke umer 21 saal say kum hu aur aap un kay kharchay kay khud zima daar hu gay.
Aap America student visa pay be ja saktay hain. Us kay liyay aap ko yeh kerna hu ga kay aap ko online ya offline kissi be American taleemi adaray ke prospectus mangwani hu ge. Phir aap daakhla form fill ker kay America ke university main bijwa day. Us kay baad aap ka student visa lug sakta agher aap ke darkhaast ko American taleemi adaara manzoor ker leta. Aap apni taleem kay duraan nokri be ker saktay hain. Phir jasay he aap ke taleem khatam hu ge tu aap permanent nokri ke bunyaad per America nokri kernay lug peray aur phir woh company aap ko makhsoos waqt pora honay kay baad Green Card dilwa day ge. Us kay baad aap azadi say andoranay aur bernay mulq safar ker saktay hu gay.

No comments:

Post a Comment